राम कथा जहां होती वहां पर, जाके प्रभू तुम वास बनाते।
दुख दारिद्र्य भगाइके दूर, मनोहर सा वो निवास बनाते।।
राम का नाम जो गाते हैं भाव से, जग में उन्हें तुम खास बनाते।
राम के हैं जो प्रिय जन हनुमत, उनको ही तुम निज दास बनाते।।
बाल समय में ही जाके आकाश में, सूर्य को तुमने आहार बनाया।
जीव भये हैं अचंभित सब, कैसे असमय ही अंधेरा है छाया।।
देवों ने जाकी है बिनती तब, सूर्य को छोड़के कष्ट मिटाया।
संकट कांपता है तुमसे, बजरंगी महाबली हे सुरराया।।
पाकर शिक्षा दिवाकर से, ऋष्यमूक वसे हनुमान जी जाकर।
सूर्य के पुत्र सुग्रीव के रक्षक, बनकर रहने लगे सुख सागर।।
आए हैं जो वनवास में राम जी, उनको मिलाये सुग्रीव से लाकर।
कोई नहीं तुमसा हितकारी, हे केसरीनंदन नाथ कपीश्वर।।
वज्र समान है अंग प्रत्यंग, सुशोभित है प्रभु कान में कुंडल।
सोने सा रंग शरीर का सुंदर, पर्वत जैसा प्रभू वक्षस्थल।
सूर्य सा तेज ललाट पे छाया है, वाणी पवित्र है जैसे गंगाजल।
हे ब्रह्मचारी महाव्रतधारी, है धर्म गली तुमसे ही तो उज्ज्वल ।।
देख ना पाए सिया जी के अश्रु, गदा को प्रभू फिर हाथ उठाये।
रावण की बगिया को उजाड़के, अक्षय कुमार को मार गिराये।।
क्रोध अभी भी न शांत हुआ जब, सोने की लंका को आग लगाये।
मलते रहे निज हाथ महाभट, किंतु न कोई भी कुछ कर पाए।।
शक्ति लगी जब लक्ष्मण को, रघुवीर गंभीर भी धीरज त्यागे।
व्याकुल देख कृपानिधि को, हनुमान के अंतर में दुख जागे।।
वैद्य सुषेण विचार के शीघ्र, गिरि पे उपाय बतावन लागे।
रातों ही रात में लाय संजीवन, शीश झुकाये प्रभू जी के आगे।।
मंगल मूरति मारुतनंदन, हो प्रभु कलयुग के तुम राजा।
चारों युगों में प्रताप समाया है, तीनहुं लोक में डंका है बाजा।।
भक्त शिरोमणि रामशरण में ही, आसन भव्य तुम्हारा है साजा।
लड्डू का भोग लगाइ मनाते हैं, हमपे भी ध्यान दो हे महाराजा।।
हनुमत हनुमत नाम उचारे जो, देव सभी उन पर हर्षाते।
कार्य असंभव भी बन जाता है, भूत-पिशाच निकट नहीं आते।।
हनुमत नाम में शांति समाई है, योगी ऋषी इसी नाम को गाते।
हनुमत का नित्य ध्यान जो करते हैं, चारों पदार्थ उन्हें मिल जाते।।
मोती के दाने को फोड़ता देख, विभीषण ने यह ताना सुनाया।
बाहर राम को ढूंढते हैं सब, भीतर किसने है राम को पाया
सुनके ये ताना बली हनुमान ने, फाड़ के सीना तुरंत दिखाया।
भक्त के अंतर बैठे सिया संग, भक्तवत्सल प्रभु श्री रघुराया।।
संतन के हो सहाई सदा तुम, वेद पुराण के हो प्रभु ज्ञाता।
सीता के शोक मिटाए तुम्हीं ने तो, हो तुम लक्ष्मण प्राण के दाता।।
राघव तुमसे सदा खुश रहते हैं, कहते तुम्हें वो भरत सम भ्राता।
हे भयभंजन है तुम्हें वंदन, ध्यान करो मेरा भाग्य विधाता।।
Credits:
Singer: Amrita Chaturvedi Upadhyay
Lyrics: Sanand Sargam
Music: Rohit Kumar (Bobby)
Flute: Pt. Ajay Shankar Prasanna
Mixmaster: A R Creations
Video credits: Advitiya Sonkar (9326084928)
℗ 2026 Amrita Chaturvedi
Ram Katha Jahaan Hoti Wahaan Par Lyrics in English
Ram katha jahaan hoti wahaan par, jaake Prabhu tum vaas banaate.
Dukh daaridrya bhagaike door, manohar sa wo nivaas banaate.
Ram ka naam jo gaate hain bhaav se, jag mein unhein tum khaas banaate.
Ram ke hain jo priya jan Hanumat, unko hi tum nij daas banaate.
Baal samay mein hi jaake aakaash mein, Surya ko tumne aahaar banaaya.
Jeev bhaye hain achambhit sab, kaise asamay hi andhera hai chhaaya.
Devon ne jaaki hai binti tab, Surya ko chhodke kasht mitaaya.
Sankat kaampta hai tumse, Bajrangi Mahabali he Surraaya.
Paakar shiksha Divaakar se, Rishyamook vase Hanuman ji jaakar.
Surya ke putra Sugriv ke rakshak, bankar rehne lage sukh saagar.
Aaye hain jo vanvaas mein Ram ji, unko milaaye Sugriv se laakar.
Koi nahin tumsa hitkaari, he Kesarinandan Naath Kapishwar.
Vajra samaan hai ang-pratyang, sushobhit hai Prabhu kaan mein kundal.
Sone sa rang shareer ka sundar, parvat jaisa Prabhu vakshasthal.
Surya sa tej lalaat pe chhaaya hai, vaani pavitra hai jaise Gangajal.
He Brahmachaari Mahavratdhaari, hai dharm gali tumse hi to ujjwal.
Dekh na paaye Siya ji ke ashru, gada ko Prabhu phir haath uthaaye.
Raavan ki bagiya ko ujaadke, Akshay Kumar ko maar giraaye.
Krodh abhi bhi na shaant hua jab, sone ki Lanka ko aag lagaaye.
Malte rahe nij haath mahaabhat, kintu na koi bhi kuchh kar paaye.
Shakti lagi jab Lakshman ko, Raghuveer gambhir bhi dheeraj tyaage.
Vyaakul dekh Kripaanidhi ko, Hanuman ke antar mein dukh jaage.
Vaidya Sushen vichaar ke sheeghra, giri pe upaay bataavan laage.
Raaton hi raat mein laay Sanjeevan, sheesh jhukaaye Prabhu ji ke aage.
Mangal moorati Marutnandan, ho Prabhu Kaliyug ke tum raaja.
Chaaron yugon mein prataap samaaya hai, teenon lok mein danka hai baaja.
Bhakt shiromani Ram sharan mein hi, aasan bhavya tumhaara hai saaja.
Laddu ka bhog lagaai manaate hain, humpe bhi dhyaan do he Maharaaja.
Hanumat Hanumat naam uchare jo, dev sabhi un par harshaate.
Kaarya asambhav bhi ban jaata hai, bhoot-pishaach nikat nahin aate.
Hanumat naam mein shaanti samaayi hai, yogi rishi isi naam ko gaate.
Hanumat ka nitya dhyaan jo karte hain, chaaron padaarth unhein mil jaate.
Moti ke daane ko phodta dekh, Vibhishan ne yah taana sunaaya.
Baahar Ram ko dhoondhte hain sab, bheetar kisne hai Ram ko paaya.
Sunke ye taana bali Hanuman ne, phaad ke seena turant dikhaaya.
Bhakt ke antar baithe Siya sang, bhaktavatsal Prabhu Shri Raghuraaya.
Santan ke ho sahaayi sada tum, Ved Puraan ke ho Prabhu gyaata.
Sita ke shok mitaaye tumheen ne to, ho tum Lakshman praan ke daata.
Raaghav tumse sada khush rehte hain, kehte tumhein wo Bharat sam bhraata.
He bhaybhanjan hai tumhein vandan, dhyaan karo mera bhaagya vidhaata.






