जो सुख है प्रभु के चरणों में | Jo sukh hai Prabhu ke charanon mein Lyrics
जो सुख है प्रभु के चरणों में, और कहीं न तू पायेगा!
वैकुंठ पति का ध्यान लगा, ये भवसागर तर जायेगा!
जो सुख है प्रभु के चरणों में, और कहीं न तू पायेगा!
क्षीर निधि में वो शयन करे! पर तीन लोक पे नज़र रखे!
है शेष नाग उनकी शैय्या, और माता लक्ष्मी संग रहे!
निर्मल मन से आवाज़ तो दे, झोली तेरी भर जायेगा!
जो सुख है प्रभु के चरणों में, और कहीं न तू पायेगा!
कृष्ण भी वही है राम भी वही, कई रूप हैं और, नाम भी कई!
दस अवतारी लीलाधर, वो मनमोहक अभिराम भी वही!
मन की आँखों से दर्शन ले ले, वो कष्ट तेरा हर जायेगा!
जो सुख है प्रभु के चरणों में, और कहीं न तू पायेगा!
Singer – Manojj Mishra
Lyrics – Alok Ranjan Jha
Jo sukh hai Prabhu ke charanon mein Lyrics in English
Jo sukh hai Prabhu ke charanon mein, aur kahin na tu paayega.
Vaikunth Pati ka dhyaan laga, ye bhavsaagar tar jaayega.
Jo sukh hai Prabhu ke charanon mein, aur kahin na tu paayega.
Ksheer nidhi mein wo shayan kare, par teen lok pe nazar rakhe.
Hai Shesh Naag unki shaiyya, aur Mata Lakshmi sang rahe.
Nirmal man se awaaz to de, jholi teri bhar jaayegi.
Jo sukh hai Prabhu ke charanon mein, aur kahin na tu paayega.
Krishna bhi wahi hain, Ram bhi wahi, kai roop hain aur naam bhi kai.
Das Avataari Leelaadhar, wo Manmohak Abhiraam bhi wahi.
Man ki aankhon se darshan le le, wo kasht tera har jaayega.
Jo sukh hai Prabhu ke charanon mein, aur kahin na tu paayega.






