जग के पालनहार प्रभू | Jag Ke Paalanhaar Prabhu Lyrics

shrihari
जग के पालनहार प्रभू | Jag Ke Paalanhaar Prabhu Lyrics

जग के पालनहार प्रभू, तुम्हें नमन है बारम्बार।
कण कण में है समाई, तेरी महिमा अपरम्पार।
नर से नारायण होने में, देर कहां लगती है।
श्री हरि विष्णू जिसपे, तेरी कृपा बरसती है।।

सुख के संसाधन हों, या फिर रहे अभाव प्रभू।
दूर हो पल भर भी ना, दिल से तेरा भाव प्रभू।।
तेरे भाव की छांव मिले फिर, धूप कहां लगती है।
श्री हरि विष्णू जिसपे, तेरी कृपा बरसती है।।

प्रभु जी विनती सुन लो। भक्ति मेरी स्वीकार करो।।
जग के दाता तुम हो। मुझपे भी उपकार करो।
हर एक सांस सदा लक्ष्मी पति, नाम तेरा जपती है।
श्री हरि विष्णु जिसपे, तेरी कृपा बरसती है।।

अज्ञानी मूरख भी। ज्ञानवान हो जाते हैं।।
पाके दरस याचक भी प्रभु धनवान हो जाते हैं।।
मन दर्पण में आठों प्रहर प्रभु। छवि तेरी बसती है।
श्री हरि विष्णु जिसपे, तेरी कृपा बरसती है।।

Singer – Sonali Pate
Lyrics – Dharmendra Ehsaas

Jag Ke Paalanhaar Prabhu Lyrics in English

Jag ke Palanhaar Prabhu, tumhein naman hai baarambaar.
Kan-kan mein hai samaai, teri mahima aparampaar.
Nar se Narayan hone mein, der kahaan lagti hai.
Shri Hari Vishnu jispe, teri kripa barasti hai.

Sukh ke sansaadhan hon, ya phir rahe abhaav Prabhu.
Door ho pal bhar bhi na, dil se tera bhaav Prabhu.
Tere bhaav ki chhaav mile phir, dhoop kahaan lagti hai.
Shri Hari Vishnu jispe, teri kripa barasti hai.

Prabhu ji vinati sun lo, bhakti meri sveekaar karo.
Jag ke daata tum ho, mujhpe bhi upkaar karo.
Har ek saans sada Lakshmipati, naam tera japti hai.
Shri Hari Vishnu jispe, teri kripa barasti hai.

Agyaani moorakh bhi, gyaanvaan ho jaate hain.
Paake daras yaachak bhi Prabhu, dhanvaan ho jaate hain.
Man darpan mein aathon prahar Prabhu, chhavi teri basti hai.
Shri Hari Vishnu jispe, teri kripa barasti hai.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

eighteen − sixteen =

Scroll to Top