श्री सत्यनारायण व्रत कथा प्रथम अध्याय | Shree Satyanarayan Vrat Katha Pratham Adhyay

shri satyanarayan vrat katha pratham adhyaya

एक समय नैमिषारण्य तीर्थ में शौनकादि अट्टहासी हजार ऋषियों ने श्री सूत जी से पूछा हे प्रभु इस कलयुग में वेद विद्या रहित मनुष्यों को प्रभु भक्ति किस प्रकार मिलेगी तथा उनका उद्धार कैसे होगा इसलिए मुनिश्रेष्ठ कोई ऐसा तप कहें जिसे थोड़े समय में पुण्य प्राप्त होवे तथा मनवांछित फल मिले वह कथा सुनाने की हमारी इच्छा है। सर्व शास्त्रज्ञता श्री सूत जी बोले हे वैष्णव में पूज्य आप सब ने प्राणियो के हित की बात पूछी है अब मैं श्रेष्ठ व्रत को आप लोगों से कहूँगा, जिस व्रत को नारद जी ने लक्ष्मी नारायण से पूछा था और लक्ष्मीपति ने मुनिश्रेष्ठ नारद से कहा था सो ध्यान से सुनो-

एक समय योगीराज नारद जी दूसरो के हित की इच्छा से अनेक लोकों में घूमते हुए मृत्यु लोक में आ पहुंचे। यहां अनेक योनियों में जन्में हुए सभी मनुष्यों को अपने कर्मों द्वारा अनेक दुखों से पीड़ित देखकर सोचा, किस यतन के करने से निश्चय ही प्राणियों के दुखों का नाश हो सकेगा ऐसा मन में सोच कर विष्णुलोक को जाएगा। वहां श्वेत वर्ण और चार भुजाओं वाले देवों के ईश नारायण को देखकर जिनके हाथों में शंख, चक्र, गदा और पद्ध थे तथा वरमाला पहने हुए थे, स्तुति करने लगे – हे भगवान आप अत्यंत शक्ति से संपन्न है मन तथा वाणी भी आपको नहीं पा सकती , आपका आदि मध्य अंत नहीं है। निर्गुण स्वरूप सृष्टि के आदि भूत और भक्तों के दुखों को नष्ट करने वाले हो आपको मेरा नमस्कार है। नारद जी से इस प्रकार की स्तुति सुनकर विष्णु भगवान बोले हे मुनि श्रेष्ठ आपके मन में क्या है? आपका किस काम के लिए आगमन हुआ है, निसंकोच कहो।

तब नारद मुनि बोले मृत्यु लोक में सब मनुष्य जो अनेक योनियों में पैदा हुए हैं अपने-अपने कर्मों के द्वार अनेक प्रकार के दुखों से दुखी हो रहे हैं। हे नाथ मुझ में यदि दया रखते हो तो बताइए कि उन मनुष्यों के सब दुख थोड़े से ही प्रदान से कैसे दूर हो सकते हैं, श्री भगवान जी बोले अच्छी बात पूछी है जिस काम के करने से मनुष्य सब दुख से छूट जाता है वह मैं कहता हूं हु सुनो बहुत पुण्य देने वाला स्वर्ग और मृत्यु लोक में दुर्लभ एक व्रत है आज मैं प्रेमवश होकर तुमसे कहता हूं सत्यनारायण का यह व्रत अच्छी तरह विधि पूर्वक करके मनुष्य आयुर्प्रयंत यहां सुख भोग करने के बाद मोक्ष को प्राप्त होता है।

श्री भगवान के वचन सुनकर नारद मुनि बोले कि इस व्रत का फल क्या है, क्या विधान है और किसने यह व्रत किया है, और किस दिन यह व्रत करना चाहिए विस्तार से कहिये भगवान बोले दुख शोक आदि को दूर करने वाला, धन्य को बढ़ाने वाला, सौभाग्य तथा संतान को देने वाला यह व्रत सब स्थान पर विजय करने वाला है। भक्ति और श्रद्धा के साथ किसी भी दिन मनुष्य श्री सत्यनारायण की शाम के समय ब्राह्मणों और बंधुओं के साथ धर्मप्रायण होकर पूजा करें भक्ति भाव से केल का फल, घी, दूध और गेहुं का आटा सवाया लेवे शर्करा तथा गुड़ ले और सब योग्य पदार्थ जमा करके भगवान के अर्पण कर देवे तथा बंधुओं सहित ब्राह्मणों को भोजन करावे उसके बाद स्वयं भोजन करें नृत्य गीत का आचरण कर
सत्यनारायण भगवान का स्मरण करें इस प्रकार व्रत करने से मनुष्यों की इच्छा पूरी होती है। विशिष्टाकार कलि काल में यही मोक्ष का सरल उपाय है।

|| श्री सत्यनारायण व्रत कथा प्रथम अध्याय सम्पूर्णम् ||


Shree Satyanarayan Vrat Katha Pratham Adhyay in English

Ek Samay Naimisharanya Tirth Mein Shaunkadi Atthashi Hazar Rishiyon Ne Shree Sut Ji Se Poochha Hei Prabhu Is Kalyug Mein Ved Vidya Rahit Manushyon Ko Prabhu Bhakti Kis Prakar Milegi Tatha Unka Uddhar Kaise Hoga Isliye Hai Munishrestha Koi Aisa Tap Kahiye Jisse Thode Samay Mein Punya Prapt Hove Tatha Manvanchhit Phal Mile Vah Katha Sunane Ki Hamari Ichcha Hai. Sarv Shastragyata Shri Sut Ji Bole Hei Vaishnav Mein Pujya Aap Sab Ne Praniyon Ke Hit Ki Baat Poochi Hai Ab Main Use Shreshth Vrat Ko Aap Logon Se Kahunga, Jis Vrat Ko Narad Ji Ne Lakshmi Narayan Se Poochha Tha Aur Lakshmipati Ne Munishrestha Narad Se Kaha Tha So Dhyan Se Suno-

Ek Samay Yogiraj Narad Ji Doosron Ke Hit Ki Ichcha Se Anek Lokon Mein Ghumte Hue Mrutyu Lok Mein Aa Pahuche. Yahan Anek Yoniyon Mein Janmein Hue Sabhi Manushyon Ko Apne Karmon Dwara Anekon Dukhon Se Pidit Dekhkar Socha, Kis Ytan Ke Karne Se Nishchay Hi Praniyon Ke Dukhon Ka Nash Ho Sakega Aisa Man Mein Soch Kar Vishnulok Ko Gaye. Vahan Shwet Varn Aur Char Bhujaon Wale Devon Ke Ish Narayan Ko Dekhkar Jinke Hathon Mein Shankh, Chkr, Gada Aur Padhh The Tatha Varmala Pehne Hue The, Stuti Karne Lage – Hei Bhagwan Aap Atyant Shakti Se Sampann Hai Man Tatha Vani Bhi Aapko Nahin Pa Sakti, Aapka Aadi Madhya Ant Nahin Hai. Nirgun Swaroop Srishti Ke Aadi Bhuti V Bhakton Ke Dukhon Ko Nasht Karne Wale Ho Aapko Mera Namaskar Hai. Narad Ji Se Iss Prakar Ki Stuti Sunkar Vishnu Bhagwan Bole Hei Muni Shreshth Aapke Man Mein Kya Hai? Aapka Kis Kam Ke Liye Aagman Hua Hai, Nisankoch Kaho.

Tab Narad Muni Bole Mrutyu Lok Mein Sab Manushya Jo Anek Yoniyon Mein Paida Hue Hain Apne Apne Karmon Ke Dwara Anek Prakar Ke Dukhon Se Dukhi Ho Rahe Hain. Hei Nath Mujh Mein Yadi Daya Rakhte Ho To Batlayiye Ki Un Manushyon Ke Sab Dukh Thode Se Hi Pradan Se Kaise Dur Ho Sakte Hain, Shri Bhagwan Ji Bole Acchi Baat Poochhi Hai Jis Kam Ke Karne Se Manushya Sab Dukho Se Chhut Jata Hai Vah Maein Kehta Hu Suno Bahut Punya Dene Wala Swarg Aur Mrutyu Lok Donon Mein Durlabh Ek Vrat Hai Aaj Main Premvash Hokar Tumse Kahta Hun Satyanarayan Ka Yah Vrat Acchi Tarah Vidhi Purvak Karke Manushya Aayurprayant Yahan Sukh Bhog Karne Ke Baad Moksh Ko Prapt Hota Hai

Shri Bhagwan Ke Vachan Sunkar Narad Muni Bole Ki Iss Vrat Ka Fal Kya Hai Kya Vidhan Hai Aur Kisne Yah Vrat Kiya Hai, Aur Kis Din Yah Vrat Karna Chahie Vistar Se Kahiye Bhagwan Bole Dukh Shok Aadi Ko Dur Karne Wala Dhanya Ko Badhane Wala Saubhagya Tatha Santan Ko Dene Wala Yah Vrat Sab Sthanon Per Vijay Karne Wala Hai. Bhakti Aur Shradha Ke Sath Kisi Bhi Din Manushya Shri Satyanarayan Ki Sham Ke Samay Brahmanon Aur Bandhuon Ke Sath Dharmprayan Hokar Puja Karen Bhakti Bhav Se Kele Ka Fal, Ghi, Dudh Aur Gehun Ka Aatta Sawaya Leve Shakkar Tatha Gud Le Aur Sab Yogya Padarth Jama Karakar Bhagwan Ke Arpan Kar Deve Tatha Bandhuon Sahit Brahmanon Ko Bhojan Karave Uske Baad Swayam Bhojan Karen Nritya Geet Ka Aacharan Kar 

Satyanarayan Bhagwan Ka Smaran Kare Is Tarah Vrat Karne Se Manushyon Ki Ichcha Niche Puri Hoti Hai. Visheshthakar Kali Kal Mein Yahi Moksh Ka Saral Upay Hai.

|| Shri Satyanarayan Vrat Katha Pratham Adhyay Sampurnam ||

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

2 + twenty =

Scroll to Top